Main Aur Tum
raat ke pichhle pahar ki sunsan saDken
rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti
jaise ji uThi thin
jab mere hath apne hathon mein liye tum ne
lams ki hiddat se bojhal hoti
be-tartib sanson ke beach ulajhti
apni dil-nashin aawaz
mere kanon mein tumhaare liye
meri aaKHiri nazm surat utari thi
is anmol lamhe mein
tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main
kisi anjaan si yaad ki kasak tale
dhire se sulagte hue tum
mohabbat ka uluhi naghma alaptin
gaDi ke shishon se Takraatin
rim-jhim barasti bunden
dashboard pe dhari bhap uDati
hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar
kafi ki do muntazir pyaliyan
chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki KHushbu se
jaise jawedan ho chale the
yaad nahin paDta hai ab
ki main tum aur kafi ki mahak
barish ke haale mein
tumhaari nazmon ki chhatri tale
ek dusre mein kitna ghul gae the
bas itna pata hai
ki
waqt
is lamhe
apni muTThi mein qaid
hamare hisse ke pal
hum pe warne
Thahar gaya tha
(516) Peoples Rate This