Zindagi Ki SaKHt Zanjiron Mein JakDa Dekh Kar

zindagi ki saKHt zanjiron mein jakDa dekh kar

aaj tum bhi hans rahe ho mujh ko tanha dekh kar

ab to wo bhi mujh se katra kar guzar jaane lage

mere mahaul-e-pareshani ka naqsha dekh kar

hausla kis mein tha jo deta barabar ka jawab

sabr karna hi paDa un ka rawayya dekh kar

aaj tujh ko bhi hansi aane lagi ai baghban

naujawan phulon ke armanon ko pyasa dekh kar

ahl-e-sahil ro rahe hain qatre qatre ke liye

zarf-e-dariya ro raha hai zarf-e-dariya dekh kar

meri aankhon se bhi 'maikash' gir paDe ashk-e-alam

pir-e-mai-KHana ko tanhai mein rota dekh kar

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ki SaKHt Zanjiron Mein JakDa Dekh Kar In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Zindagi Ki SaKHt Zanjiron Mein JakDa Dekh Kar is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Zindagi Ki SaKHt Zanjiron Mein JakDa Dekh Kar for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Zindagi Ki SaKHt Zanjiron Mein JakDa Dekh Kar in PDF.