Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8cfda2046000957f33a0b95280b007e0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle - Maikash Nag Puri Poetry In English - Darsaal

Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle

meri har KHushi KHushi thi teri har KHushi se pahle

mujhe koi gham nahin tha gham-e-ashiqi se pahle

koi kashmakash nahin thi gham-e-dushmani se pahle

mujhe KHauf hi kahan tha teri dosti se pahle

na bahaar-e-mai-kada thi na surur-baKHsh naghme

tere mai-kade mein kya tha meri mai-kashi se pahle

main duaen chahta hun main dua ka mustahiq hun

tumhein kaun jaanta tha meri dosti se pahle

hui sham-e-husn raushan to main ban gaya patanga

teri bandagi thi suni meri zindagi se pahle

kahin tirgi thi 'maikash' kahin tirgi ke Dere

kahin raushni nahin thi meri raushni se pahle

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle in PDF.