Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana
mera diwangi par is qadar maghrur ho jaana
ki rafta rafta hadd-e-agahi se dur ho jaana
pata deta hai gumrahi-e-rahgir-e-mohabbat ka
bichhaDna aur bichhaD kar qafile se dur ho jaana
kahin duniya-e-ulfat ko tah-o-baala na kar Dale
ghurur-e-husn ke aain ka dastur ho jaana
azal se tira-baKHt-e-ishq ke hisse mein aaya hai
shab-e-gham-e-dil ka jal jal kar charagh-e-tur ho jaana
meri danist-e-naqis mein kamal-e-KHud-numai hai
zamin se aasman tak aap ka mashhur ho jaana
kisi ka jashn-e-azadi manana hai bahut aasan
magar dushwar hai ghaarat-gar-e-jamhur ho jaana
ragon ka KHun rafta rafta ThanDa ho chala 'maikash'
mere dard-e-jigar ko aa gaya kafur ho jaana
(406) Peoples Rate This