Mera Dil Chaak Hua Chaak-e-gareban Ki Tarah
mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah
ab gulistan nazar aata hai bayaban ki tarah
mere sine mein munawwar hue yaadon ke charagh
bazm-e-KHuban ki tarah shahr-e-nigaran ki tarah
koi monis koi hamdam koi sathi na mila
main pareshan hi raha zulf-e-pareshan ki tarah
KHatm ho jaegi har raushni duniya ki magar
tum chamakte hi rahoge mah-e-taban ki tarah
main ne chaha ki sambhal jae tabiat meri
dil Tapakta hi raha dida-e-giryan ki tarah
chashm-e-ulfat se na dekha kabhi duniya ne mujhe
main khaTakta hi raha KHar-e-mughilan ki tarah
mere saqi tere andaz-e-karam ke sadqe
ab to 'maikash' bhi nazar aata hai insan ki tarah
(418) Peoples Rate This