Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1457430e6ac2f4e1fa0e9b7990fe6d28, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi - Maikash Nag Puri Poetry In English - Darsaal

Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi

ghuncha-o-gul mein tazgi na rahi

ab bahaaron mein dilkashi na rahi

ab to qindil-e-dil karo raushan

bazm-e-hasti mein raushni na rahi

jo bhi karna hai aaj hi kar le

kal ye duniya rahi rahi na rahi

wo gale mil ke kya hue ruKHsat

zindagi jaan-e-zindagi na rahi

kar rahe hain wo ehtimam-e-gham

ab to meri KHushi KHushi na rahi

mai-kada ho gaya tah-o-baala

koi shai mere kaam ki na rahi

sara mai-KHana kashmakash mein hai

tarz-e-'maikash' mein dilkashi na rahi

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Ghuncha-o-gul Mein Tazgi Na Rahi in PDF.