Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka
bharam khulne na pae bandagi ka
wo matam kar rahe hain zindagi ka
tajjub hai KHulus-e-dostan par
nahin gham dushmanon ki dushmani ka
bhaDak uThti hai dil mein aatish-e-gham
KHayal aata hai jab un ki gali ka
abhi hai band aankh insaniyat ki
abhi dam ghuT raha hai aadmi ka
tumhaari yaad ne ki rahnumai
KHayal aaya mujhe jab be-KHudi ka
lagi dil ki ho alfaz-o-bayan mein
yahi ek KHas fan hai shairi ka
wahi dushman bane baiThe hain 'maikash'
jo dam bharte the apni dosti ka
(434) Peoples Rate This