Iqbaal Ka Sher
iman ki tafsir qalandar ka tarana
samjhe to palaT aae bulandi pe zamana
bebak nigahon ka falak-bos ishaara
sangin chaTanon se guzarta hua dhaara
be-tabi-e-fitrat ki sukun-baKHsh kahani
shoalon se banai hui shabnam ki rawani
ashkon mein nahai hui ek mauj-e-tabassum
mallah ka girdab mein jis tarah tarannum
ilham mein takmil-e-haqiqat ki adaen
shahin ki parwaz mujahid ki nawaen
soi hui qismat ko jagata hua naghma
har sans ko hangama banata hua naghma
patjhaD ki taraf dekh ke hansta hua baadal
sukhe hue kheton pe barasta hua baadal
ek barq sar-e-tur takallum ke sahaare
ek jalwa-e-mastur tarannum ke sahaare
ek shama rah-e-shauq mein manzil ki nishani
ek paikar-e-lafzi ki nawa-KHez jawani
ek ruh jo insan ko insan bana de
ek dard jo jazbaat ko iman bana de
'iqbaal' ka har sher hai mai-KHana-e-hasti
har rind ko deta hai jo paimana-e-hasti
(414) Peoples Rate This