Dagh
hai ab tak sehr sa chhaya teri jadu-nawai ka
dil-e-urdu pe ab tak dagh hai teri judai ka
zaban-e-sher se ab bhi teri aawaz sunta hun
jo nikla tha teri mizrab se wo saz sunta hun
taghazzul ko teri rangin nawaen yaad hain ab tak
tere naghmon se dil ki bastiyan aabaad hain ab tak
dilon ko ab bhi chamkati hai sham-e-arzu teri
lab-e-tahrir par ab tak hai shirin guftugu teri
tere jazbaat mein ab tak sadaqat jagmagati hai
teri guftar ki shoKHi dilon ko gudgudati hai
niyaz-o-naz ki mahfil mein tera nam rahta hai
tere maston ke aage ab bhi tera jam rahta hai
teri ranginiyon mein sadgi ki shan hoti hai
tere afkar ki duniya bhi sheristan hoti thi
tere naghme sukun-parwar the arbab-e-mohabbat ke
sada be-dagh dekha hai tere daman-e-fitrat
chhalakti thin tere dil ki adaen bhi nigahon se
bala ka dard hota tha teri KHamosh aahon mein
tu banda tha mohabbat ka mohabbat thi tere dil mein
samundar maujzan rahta tha is chhoTe se sahil mein
tere lab par wahi aata tha jo har dil mein hota tha
wo ban jata tha shair jo teri mahfil mein hota tha
fasih-ul-mulk tha jaan-e-fasahat teri baaten thin
qayamat jis pe dam de wo qayamat teri baaten thin
teri guftar mein hum ne mazaq-e-zindagi dekha
tere sazon mein dil ke soz ka mafhum tha goya
teri hasti ko raaz-e-do-jahan malum tha goya
farishton ka taqaddus tha tere husn-e-takallum mein
tere aansu mein soz-e-dil tha ya shoala tha shabnam mein
zaban ko hur-o-ghilman ne teri kausar se dhoya tha
KHuda ne bahr-e-ulfat mein teri ulfat ko khoya tha
anadil bhi baDhe teri taraf daman ko phailae
mohabbat ki zaban se tu ne jis dam phul barsae
faza ko kar diya rangin apni naghma-KHwani se
gulon mein phunk di ruh-e-tabassum gul-fishani se
tere naghme bahe jab nikhat-e-gul ke safine mein
to lale ne biThaya la ke tujh ko apne sine mein
har ek dard-ashna dil mein rakha tujh ko mohabbat ne
biThaya chand ke mathe pe tujh ko dast-e-qudrat ne
zamin-e-sher ne paya tha auj-e-asman tujh se
zaban ka lutf tha ai bulbul-e-hindustan tujh se
payambar tha suKHan ka to tere naghmon pe jumenge
hum apne dida-e-dil se teri turbat ko chumenge
rahenge hashr tak baqi tere naghme nahin fani
baja hai tujh ko kahte hain jo hum tilmiz-e-rahmani
tere jazbaat ke pur-kaif sailabon mein bahte hain
haqiqat-ashna tujh ko jahan-ustad kahte hain
jahan-e-arzu mein ab bhi haal-o-qal tera hai
suKHan ki mumlikat mein aaj tak iqbaal tera hai
suKHan-fahmon ke dil mein ab bhi teri yaad baqi hai
ghazal ke mai-kada jab tak hai qaem tu hi saqi hai
dakan mein zauq tha zauq-e-suKHan mahbub tha tujh ko
hamein malum hai mulk-e-dakan mahbub tha tujh ko
dakan ko aane wale bas gaya mulk-e-dakan mein tu
ki bulbul tha banaya aashiyan apna chaman mein tu
qayamat tak na bhulenge tujhe tere watan wale
kahin bulbul ke naghme bhul jate hain chaman wale
dil-e-betab ke barbat pe naghma dard ka gaya
taghazzul se hamari mahfilon ko tu ne garmaya
tere ehsan ke gun gaega josh-e-wafa-koshi
dakan walon ki fitrat mein nahin ehsan-framoshi
kaleja tham kar apna tere ashaar gaenge
dakan ki wadiyon mein hum tere naghme basaenge
aqidat-afrin gul teri turbat par chaDhaenge
tere har sher ko hum apni aankhon se lagaenge
(518) Peoples Rate This