Andha
sunta hai husn-e-shams-o-qamar dekhta nahin
yani nizam-e-sham-o-sahar dekhta nahin
us ke bhi pairahan pe gunahon ke dagh hain
duniya ko chahta hai magar dekhta nahin
us ko bhi hain nasib mohabbat ki lazzaten
dil thamta hai tir-e-nazar dekhta nahin
us ke bhi dil mein aag bhaDakti hai ishq ki
jalta hai aur raqs-e-sharar dekhta nahin
us ke bhi sar ne paya hai ehsas-e-bandagi
sajda mein gar tu jata hai dar dekhta nahin
us ko sambhaal leti hain har bar Thokaren
chalta hai aur rahguzar dekhta nahin
baaton se taD leta hai baatin ki haalaten
milta hai aur ru-e-bashar dekhta nahin
hansta hai sirf apne liye ghair par nahin
rota hai aur daman-e-tar dekhta nahin
malum hai tamawwul-o-ghurbat ki kashmakash
aankhon se imtiyaz-e-nazar dekhta nahin
us ko sukun chahiye jine ke waste
rahta hai aur apna hi ghar dekhta nahin
(369) Peoples Rate This