Ye Rang-o-nur Bhala Kab Kisi Ke Hath Aae
ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae
kidhar chale hain andhere ye hath phailae
KHuda kare koi shamen liye chala aae
dhaDak rahe hain mere dil mein sham ke sae
kahan wo aur kahan meri pur-KHatar rahen
magar wo phir bhi mere sath dur tak aae
main apne ahd mein sham-e-mazar ho ke raha
kabhi na dekh sake mujh ko mere ham-sae
chale-chalo ki bata degi rah KHud raste
kahan hai waqt ki koi kisi ko samjhae
haram ki aabru hum ne bahut rakhi phir bhi
kai charagh sanam-KHane mein jala aae
main apne dil ko to taskin de bhi lun 'maikash'
wo muztarib hai bahut kaun us ko samjhae
(342) Peoples Rate This