Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_467d881f04377d10d5b8657bc0ccf14e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain - Maikash Akbarabadi Poetry In English - Darsaal

Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain

ye mana zindagi mein gham bahut hain

hanse bhi zindagi mein hum bahut hain

teri zulfon ko kya suljhaun ai dost

meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain

nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par

junun ke aur bhi mausam bahut hain

ghubar-aluda chehron par na jaana

inhin mein kiqabaad-o-jam bahut hain

mujhe kuchh saz hai nashtar se warna

mere zaKHmon ke yan marham bahut hain

qafas ye jaan kar toDa tha main ne

qafas ko toD kar bhi gham bahut hain

karun kya chaara in aankhon ka 'maikash'

ki un ke samne pur-nam bahut hain

(481) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain In English By Famous Poet Maikash Akbarabadi. Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain is written by Maikash Akbarabadi. Read famous Poem Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain for youth and Student by Maikash Akbarabadi. Free Download Ye Mana Zindagi Mein Gham Bahut Hain in PDF.