Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain
usi dard-ashna dil ki taraf-dari mein rahte hain
hum apne-ap mein gum apni gham-KHwari mein rahte hain
yunhi hum rafta rafta dil-girafta hote jaenge
ki hum apne ghamon ki naz-bardari mein rahte hain
ye duniya hum ne duniya-dar ki aankhon se dekhi hai
magar ai dil hum apni hi amal-dari mein rahte hain
hamare sukh bahut kam aur dukh un se bahut kam hain
so hum bhi aaj kal un ki nigah-dari mein rahte hain
abhi ahl-e-hawas duniya mein kya kya gul khilaenge
abhi ahl-e-junun KHwab-e-jahan-dari mein rahte hain
(423) Peoples Rate This