Tujhse Shikwa Na Koi Ranj Hai Tanhai Ka
tujh se shikwa na koi ranj hai tanhai ka
tha mujhe shauq bahut anjuman-arai ka
kuchh to aashob-e-hawa aur hawas ki hai shikar
aur kuchh kaam baDha hai meri binai ka
aai phir nafa-e-imroz se KHushbu-e-visal
khul gaya phir koi dar band pazirai ka
main ne poshida bhi kar rakkha hai dar-parda-e-sher
aur bharam khul bhi gaya hai meri danai ka
yani is bar bhi wo KHak uDi hai ki mujhe
ek khaTka sa laga rahta hai ruswai ka
shairi kaam hai mera so main kahta hun ghazal
ye abas shauq nahin qafiya-paimai ka
(423) Peoples Rate This