Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f1b2e7fa082dad61ecadb2e428339446, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare - Mahtab Haider Naqvi Poetry In English - Darsaal

MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare

muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare

in nazaron ko koi dekhe ki hairani kare

dhup mein in aabginon ko liye phirta hun main

koi saya mere KHwabon ki nigahbani kare

ek main hun aur dastak kitne darwazon pe dun

kitni dahlizon pe sajda ek peshani kare

raat aisi chahiye mange jo din bhar ka hisab

KHwab aisa ho jo in aankhon mein virani kare

sahilon par main khaDa hun tishna-kaamon ki tarah

koi mauj-e-ab meri aankh ko pani kare

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download MuKHtasar Si Zindagi Mein Kitni Nadani Kare in PDF.