Matlab Ke Liye Hain Na Maani Ke Liye Hain
matlab ke liye hain na maani ke liye hain
ye sher tabiat ki rawani ke liye hain
wo chashm agar sehr-bayani ke liye hai
ye lab bhi meri tishna-dahani ke liye hain
jo mere shab-o-roz mein shamil hi nahin the
kirdar wahi meri kahani ke liye hain
ye dagh mohabbat ki nishani ke alawa
ai ishq teri marsiya-KHwani ke liye hain
aati hai sukut-e-sahar-o-sham ki aawaz
dar-asl to hum naql-e-makani ke liye hain
jo rang gul o lala o nasrin se hain mansub
wo rang ab aashufta-bayani ke liye hain
(389) Peoples Rate This