Kin Mausamon Ke Yaro Hum KHwab Dekhte Hain
kin mausamon ke yaro hum KHwab dekhte hain
jangal pahaD dariya talab dekhte hain
is aasman se aage ek aur aasman par
mahtab se juda ek mahtab dekhte hain
kal jis jagah paDa tha pani ka kal hum par
aaj us jagah lahu ka sailab dekhte hain
us gul pe aa rahi hain sau tarah ki bahaaren
hum bhi hazar rangon ke KHwab dekhte hain
dariya hisab o had mein apni rawan dawan hai
kuchh log hain ki is mein girdab dekhte hain
ai be-hunar sambhal kar chal rah-e-shairi mein
fan-e-suKHan ke mahir ahbab dekhte hain
(435) Peoples Rate This