Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin
hijr ki manzil hamein ab ke pasand aai nahin
hum akele hain magar hamrah tanhai nahin
ek din chhin jaega aankhon se sara rang-o-nur
dekh lo un ko ki ye manzar hameshai nahin
ek junun ke waste basti ko wusat di gai
ek wahshat ke liye sahra mein pahnai nahin
kaun se manzar ki tabani andhera kar gai
aisa kya dekha ki ab aankhon mein binai nahin
jab kabhi fursat milegi dekh lenge sare KHwab
KHwab bhi apne hain ye raaten bhi harjai nahin
(409) Peoples Rate This