Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d5d6ea18e32d4baab24902b33dd05200, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai - Mahtab Haider Naqvi Poetry In English - Darsaal

Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai

hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai

tumhin batao ki hai kis ke pas tanhai

use bhi ab ke bahut ranj-e-narsai hai

khaDi hai shahr ki sarhad ke pas tanhai

isi liye to na sahra mein hai na basti mein

ki ho na jae kahin be-libas tanhai

tawil hijr ne donon ko yun KHarab kiya

ki us ke pas na ab mere pas tanhai

andheri raat mein aankhon mein KHwab ki surat

kabhi kabhi nazar aai udas tanhai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Hamein To Ab Ke Bhi Aai Na Ras Tanhai in PDF.