Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_41e533cc997c537a33252fc1fe6d9e9c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya - Mahtab Haider Naqvi Poetry In English - Darsaal

Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya

dil to ek shaKHs ko naKHchir banane mein gaya

saz-e-dil naghma-e-dil-gir banane mein gaya

raat ek KHwab jo dekha to hua ye malum

din bhi us KHwab ki taswir banane mein gaya

partaw-e-KHana-e-mauhum ghanimat tha magar

wo bhi ek naqsha-e-tamir banane mein gaya

ruh to ruh hai kuchh bas nahin is par lekin

ye badan KHak ko iksir banane mein gaya

yar to dirham o dinar banane mein gae

aur main ishq ki jagir banane mein gaya

sher tasir se KHali hua waqt-e-tabir

nafs-e-mazmun bhi taqrir banane mein gaya

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Dil To Ek ShaKHs Ko NaKHchir Banane Mein Gaya in PDF.