Ahl-e-duniya Dekhte Hain Kitni Hairani Ke Sath
ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath
zindagi hum ne basar kar li hai nadani ke sath
ek tamannaon ka bahr-e-be-karan tha aur hum
kashti-e-jaan ko bacha lae hain aasani ke sath
ab kise dil ke dhaDakne ki sadaen yaad hain
ye bhi hangama gaya is ghar ki virani ke sath
ai hawa tu ne to sare marke sar kar liye
subh-e-farda pas baiThi hai pashimani ke sath
dasht-e-wahshat se bhala karta hai aankhen chaar kaun
shahr baDhte ja rahe hain apni uryani ke sath
tu nahin aata na aa ai dost ab teri tarah
hum bhi chal nikle hain apne dushman-e-jaani ke sath
(435) Peoples Rate This