Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6fe7f6b36fc73a4928432f3bb7dec56e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega - Mahtab Haider Naqvi Poetry In English - Darsaal

Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega

abhi ruswaiyon ka ek baDa bazar aaega

phir is ke baad hi wo kucha-e-dildar aaega

watan ki ek taswir KHayali sab banate hain

KHabar lekin nahin kya is mein ku-e-yar aaega

gul-e-shaKH-e-mohabbat par lahu ka rang khilta hai

ki ab rang-e-hina zikr-e-lab-o-ruKHsar aaega

hamare waste bhi saat-e-hamwar Thahregi

ki rah-e-shauq mein jis dam wo na-hamwar aaega

abhi aab-o-hawa-e-jism ke asrar khulte hain

abhi wo toDne is jism ki diwar aaega

karo ahl-e-junun kuchh to karo saman-e-dildari

ki shahr-e-ishq mein wo shoKH pahli bar aaega

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Abhi Ruswaiyon Ka Ek BaDa Bazar Aaega in PDF.