Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya
ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya
khinchti hai mera dil chashm-e-ghazal-e-duniya
lo utarti hai badan se mere KHaki poshak
lo hua jata hun main sarf-e-kamal-e-duniya
miT rahe hain mere andar ke sabhi naqsh-o-nigar
ban rahe hain mere bahar KHad-o-KHal-e-duniya
tere chehre ka fusun bhi nazar aae to kahin
koi aaina dikhata hai jamal-e-duniya
bas yahi naKHl-e-hawas hai jo rahega sarsabz
tera iqbaal siwa taza nihaal-e-duniya
main bhi hairan mera dil bhi pashiman sa hai
jism ke hath hua jab se visal-e-duniya
(451) Peoples Rate This