Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli
phulon mein jhalak husn-e-ruKH-e-yar ki nikli
hum KHush hain koi shakl to didar ki nikli
alfaz se KHushbu tere kirdar ki nikli
jab baat masiha tere guftar ki nikli
nilam hue chand har ek shahr mein lekin
raunaq na kahin misr ke bazar ki nikli
honTon ki hansi bin gae jo zaKHm the dil mein
surat koi jab aur na izhaar ki nikli
dekha to ye samjhe kisi darwesh ka ghar hai
puchha to wo kuTiya bhi zamindar ki nikli
phir phul barasne lage lafzon ke dahan se
phir baat kisi ke lab-o-ruKHsar ki nikli
zanjir ki tangi thi asiran-e-wafa the
aawaz bhi zindan se na jhankar ki nikli
(647) Peoples Rate This