Ghazal Ka Meri KHaka Dekhta Hai
ghazal ka meri KHaka dekhta hai
jo us gul ka sarapa dekhta hai
palaT kar jab masiha dekhta hai
mere zaKHmon ko hansta dekhta hai
tilismi hain nae insan ki aankhen
ki ghar mein rah ke duniya dekhta hai
wahi kirdar zinda hai jo apni
kahani ko adhura dekhta hai
ye sun kar meri ninden uD gai hain
koi mera bhi sapna dekhta hai
jo uDte hain uDen 'ghaalib' ke purze
tamashai tamasha dekhta hai
samundar bund lagta hai kisi ko
koi zarre mein sahra dekhta hai
na jaane kis mein hai kitni basirat
na jaane kaun kitna dekhta hai
(388) Peoples Rate This