Dar TaKHayyul Ke Muqaffal Nahin Hone Deta
dar taKHayyul ke muqaffal nahin hone deta
main tujhe aankh se ojhal nahin hone deta
nind aati hai to aankhon mein jagah deta hun
apni palkon ko main bojhal nahin hone deta
kis ko sairab karega wo chhalakta baadal
jo mari pyas ko jal-thal nahin hone deta
chhin leta hai musawwir ke sabhi hosh-o-hawas
husn taswir mukammal nahin hone deta
kis ko iflas ne rakkha hai shagufta-KHatir
ye to bachchon ko bhi chanchal nahin hone deta
koi kandhe pe mere hath dhare hai 'mahtab'
ye taKHayyul mujhe pagal nahin hone deta
(494) Peoples Rate This