Dagh-e-sina Markaz-e-tanwir Hai

dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai

dil ka chhaala chand ki taswir hai

zindagi kiya hai koi samjhae to

KHwab hai ya KHwab ki tabir hai

chain se zindan mein baiThe ab junun

panw mein chakkar nahin zanjir hai

phunk dengi nafraten ghar aap ka

nam darwaze pe kyun tahrir hai

ghar ka ek naqsha bana leti hai rose

ye jo dil mein hasrat-e-tamir hai

hum aman pate the jis ke sae mein

wo shajar ab dhup ki taswir hai

kis ke wade par karen hum e'tibar

kis ke mathe pe wafa tahrir hai

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-sina Markaz-e-tanwir Hai In English By Famous Poet Mahtab Alam. Dagh-e-sina Markaz-e-tanwir Hai is written by Mahtab Alam. Read famous Poem Dagh-e-sina Markaz-e-tanwir Hai for youth and Student by Mahtab Alam. Free Download Dagh-e-sina Markaz-e-tanwir Hai in PDF.