Der Tak UTh Na Saka Wan Se Wo Diwana-e-dost
der tak uTh na saka wan se wo diwana-e-dost
chhiD gaya jab ki kahin baiTh ke afsana-e-dost
aaj uThe jate hain darban ki jafa se lekin
zindagi bhar kahin chhuTta hai dar-e-KHana-e-dost
hijr mein haalat-e-dil ki hain wo aankhen nigaran
dekhi thi jin se kabhi raunaq-e-kashana-e-dost
rahbar shauq-e-dili sar pe ajal dil betab
be-KHabar yun main chala hun taraf-e-KHana-e-dost
aaj kyun had se siwa dil ko KHushi hai 'mahshar'
kya bulae hue jate ho su-e-KHana-e-dost
(386) Peoples Rate This