Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai
tere suluk-e-taghaful se ho ke saudai
chala hun main to kuchh aage chali hai ruswai
naya naya hai abhi jazba-e-KHud-arai
KHuda kare ki na aae KHayal-e-yaktai
tabiaton mein baDa iKHtilaf hota hai
mujhe to arz-e-tamanna pe sharm si aai
hayat-e-ishq ke ye pech o KHam nasheb o faraaz
inhin ka nam hai shayad kisi ki angDai
jo aaj zikr chala aastin ke sanpon ka
to mujh ko apne kai doston ki yaad aai
tumhaari yaad ko rah rah ke gher lati hai
mah o nujum ki tabish gulon ki ranai
talab ki maut samajhiye rah-e-talab mein qayam
baDa ghalat hai taqaza-e-abla-pai
tamam umr mein pahuncha hun is natije par
nashat-e-bazm se behtar hai dard-e-tanhai
wo ibtida-e-mohabbat ki guftugu 'mahshar'
baja raha ho koi dur jaise shahnai
(422) Peoples Rate This