Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain
nazar hairat-zada si hai qadam bahke hue se hain
shabab aaya hai un par aur hum bahke hue se hain
abhi un ke karam ki baat apne husn-e-zan tak hai
magar ummid-waran-e-karam bahke hue se hain
wafa ke silsile mein ho hi jati hai ghalat-fahmi
wo bahkae gae se hain na hum bahke hue se hain
baDe zi-hosh bante the mai-e-ishrat ke matwale
hua hai jab se kuchh ehsas-e-gham bahke hue se hain
unhen aaina-ruKH kahiye unhin ke samne ja kar
ye andaza to hota hai ki hum bahke hue se hain
kaha karte the hum akasr ki rah-e-zindagi hai kya
jo ab dekhe hain us ke pech-o-KHam bahke hue se hain
meri duniya hai ye ahl-e-junun kya hosh wale kya
meri duniya mein sab hi besh-o-kam bahke hue se hain
KHuda rakkhe chale hain manzil-e-jaanan ko sar karne
wo dekho na yahin jin ke qadam bahke hue se hain
har ek ne mujh ko diwana hi Thahraya hai ai 'mahshar'
sabhi qissa-nigaron ke qalam bahke hue se hain
(411) Peoples Rate This