Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_904b649797558089c85b39d28ccb65c4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain - Mahshar Inayati Poetry In English - Darsaal

Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain

hum se gumrah zamane ne kahan dekhe hain

hum ne miTte hue qadmon ke nishan dekhe hain

aap ne dekh ke har ek ko nazar pheri hai

aap ne sahib-e-ehsas kahan dekhe hain

zindagi sidhi si ek rah nahin hai ai dost

is mein jo moD hain wo tu ne kahan dekhe hain

dil jahan larze umidon ka tasawwur kar ke

main ne ummid ke aasar wahan dekhe hain

uTh gai aankh agar meri to jam jaegi

aap ne dida-e-har-su-nigran dekhe hain

(437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Humse Gumrah Zamane Ne Kahan Dekhe Hain in PDF.