Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai
fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan aaj bhi hai
haq-bayani ka sila dar-o-rasan aaj bhi hai
pasbanan-e-chaman ki rawish-e-korana
wajh-e-ruswai-e-ain-e-chaman aaj bhi hai
mai-e-pindar ke do ghunT ki bardasht kise
tha jo pahle wo bahakne ka chalan aaj bhi hai
rahnuma hain ki sar-e-rah aDe baiThe hain
karwan hai ki saza-war-e-mehan aaj bhi hai
waqt ke nabz-shanason se kaho tez chalen
KHud-farebon ki jabinon pe shikan aaj bhi hai
kar chuka hai jo har ek daur mein tiryaq ka kaam
mere saghar mein wahi zahr-e-suKHan aaj bhi hai
wahi 'mahshar' jo nigahon mein khaTakta hi raha
apni bebak-bayani pe magan aaj bhi hai
(418) Peoples Rate This