Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae
wo haal hai ki talash-e-najat ki jae
kisi faqir-e-dua-go se baat ki jae
ye shahr kaisa KHush-auqat tha aur ab kya hai
jo din bhi nikle to wahshat na raat ki jae
koi to shakl-e-guman ho koi to hila-e-KHair
kisi tarah to basar ab hayat ki jae
gharon mein waqt-guzari ka ab hai shughl hi kya
yahi ki guftugu-e-hadsat ki jae
agar yahi hai ab ifa-e-ahd mein pas-o-pesh
to KHatm rasm-o-rah-e-iltifat ki jae
husul-e-fath gharaz ho to kya baja hai ye taur
tabah us ke liye kaenat ki jae
muhaal hi mein kuchh aasudgi bahaal karen
kahan tak aarzu-e-mumkinat ki jae
kuchh aise bhi hain tahi-dast o be-nawa jin se
milaen hath to KHushbu na hat ki jae
(478) Peoples Rate This