Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar
tair ke liye din raat ka Dar
dahliz pe rizq aur taq mein ghar
sab rauzan-e-zindan band hue
ya kuchh na raha zindan se udhar
bahar ye qadam niklen to khule
zanjir madad karti hai ki dar
maqtal ki zamin se phul ugen
jata hai kahin miTTi ka asar
nind aati hai us ke sae mein
gir jae ye diwar agar
hum sog hain jage sapnon ka
ai raat hamein mahsus na kar
jalwaon se bahut nazdik ho tum
ai bul-hawso daman pe nazar
hai apna qayam is aalam mein
shabnam ka basera kanTe par
ya sirf Dagar thi waqt na tha
ab sirf hai waqt ka nam Dagar
kuchh apni pyasen bujh bhi gain
kuchh qarz hain dariya-noshon par
(434) Peoples Rate This