Safir-e-fan The So Taswir Kar Diye Gae Hum
safir-e-fan the so taswir kar diye gae hum
phir ek KHwab se tabir kar diye gae hum
hum ek KHayal the firdaus-e-ham-e-KHayalan ka
so ek KHarabe mein tamir kar diye gae hum
sawaliyan-e-siyah-baKHt ki tarah tah-e-tegh
ba-nam-e-adl jahangir kar diye gae hum
shahid kar ke bhi mausam ne kab rihai di
shajar ki shaKH mein zanjir kar diye gae hum
hum is se pahle bhi ek dastan the aur ab to
salib-o-dar pe tahrir kar diye gae hum
KHadang-e-zulm wo barse ki KHud bhi aaKHir-e-kar
nigah-e-zulm mein shamshir kar diye gae hum
ye ramz-e-nukta-wari hai ki taur-e-hila-gari
rahin-e-zillat-e-taqdir kar diye gae hum
miTe hum apni zamin par to kya maqam mila
yahi ki dafn ba-tauqir kar diye gae hum
(389) Peoples Rate This