Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain
pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain
hum bhi kuchh naghme liye shahr-e-nawa mein aae hain
hum KHas-o-KHashak aawara guzargahon ka bojh
raqs karne tere kuche ki hawa mein aae hain
ye fishaar-e-gard-o-zulmat ye KHarosh-e-abr-o-baad
aap hi ka dil hai milne is faza mein aae hain
tujh se mil kar sab se ab daman chhuDa lenge magar
sath jin kanTon ke hum rah-e-wafa mein aae hain
sharm ke kuchh phul le kar kuchh nadamat ke guhar
tere parwarda teri daulat-sara mein aae hain
ab tak aankhon ki nami ka silsila TuTa nahin
kuchh ghubar aise hi ji par ibtida mein aae hain
aaj hi dekhe the armanon ke KHwab aur aaj hi
kuchh nae halqe nazar zanjir-e-pa mein aae hain
(415) Peoples Rate This