Na Sahn-o-baam Na Diwar-o-dar Purane Hain
na sahn-o-baam na diwar-o-dar purane hain
agar makin hain purane to ghar purane hain
saKHawaton hi ke dam se hai tazgi ka bharam
samar na den to yaqinan shajar purane hain
dil aisi surat-e-tamir par jame kab tak
tamam naqsh hi diwar par purane hain
hawa ki lahr hai ab jis tarah bhi shohrat de
junun purana na aashufta-sar purane hain
qabahaten to yahin hain masafaton mein meri
safar naya hai sharik-e-safar purane hain
main na-balad hun rafu ki riwayaton se to phir
nikalte kyun nahin jo baKHiya-gar purane hain
ye rabt-e-KHair nishan hai saf-e-hunar ke liye
jo kuchh nae hain to kuchh dida-war purane hain
sabhi KHarabe hain dosh-e-zamin pe bar magar
ziyaada bojh wo hain jo khanDar purane hain
(374) Peoples Rate This