Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae
na KHali zehn yun duniya ka rah jae
ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae
zaminon par na yun qabza karen shahar
koi to rasta sahra ka rah jae
mere bare mein lahren kuchh bhi sochen
main kahta hun bharam dariya ka rah jae
jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho
safar aadha safar-paima ka rah jae
numud-e-zaKHm kam aur ye tamanna
qafas ho kar qafas-ara ka rah jae
alag hi us ka naghma hai shajar par
qayam us tair-e-tanha ka rah jae
(386) Peoples Rate This