Malal Ji Pe Na Yun Ek Chaaragar Ne Liya
malal ji pe na yun ek chaaragar ne liya
asar jo meri udasi ka baam-o-dar ne liya
baTa raha yunhi gham-ha-e-rozgar ka bojh
kuchh apne dil ne sambhaala kuchh apne sar ne liya
luTe to luT ke ye tauqir bhi hamin ko mili
gae jidhar bhi hamein sar pe rah-guzar ne liya
jo shisha TuTa chuna dil ne reza reza use
jo rang bikhra wo palkon pe chashm-e-tar ne liya
hum aise KHana-KHarabon se aur kya milta
bas ek lutf-e-tamasha nazar nazar ne liya
ye sochta hun to Dasti hai aur shaKH-e-chaman
sukun ka nam hi kyun ek shikasta-par ne liya
jo ghar mein par-taw-e-zau tha use bujha gai raat
jo dil mein wirsa-e-KHun tha wo sab sahar ne liya
KHayal-e-be-KHabran to bahut raha un ko
pata kuchh apna bhi yaran-e-ba-KHabar ne liya
dil ashk ashk dimagh aag aag hai 'mahshar'
ye intiqam bhi mujh se mere hunar ne liya
(379) Peoples Rate This