Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua
lab-e-talab bhi na phir mail-e-sawal hua
ki jab taqaddus-e-kashkol paemal hua
ajib qaht-e-KHayal-o-KHabar se guzre hum
kisi ne haal bhi pucha to ji bahaal hua
mile ba-sai-e-rafu aur uThe gareban-chaak
ye mashwara hua logo ki ishtial hua
wo jal phaile hawa mein ki par-kushaon ko
nashemanon ki taraf lauTna muhaal hua
ye hashr us ka hai suraj kaha gaya jis ko
kabhi suna kisi zarre ko bhi zawal hua
kuchh aise hadse bhi the jo zaKHm-e-waqt ke the
so kis se waqt ke zaKHmon ka indimal hua
ajab wo shahr-e-sitamgar tha chhoD kar jis ko
bahut KHushi hui aur phir bahut malal hua
wo ek musafir-e-haq-kosh tha so us ka ye ajr
sadaqaton ke safar hi mein intiqal hua
phirin kuchh aisi shab-afroziyan nigahon mein
charagh-e-sham jala aur main niDhaal hua
(392) Peoples Rate This