Jaise Hum Aate Hain KHidmat Mein Sabhi Aaya Karen
jaise hum aate hain KHidmat mein sabhi aaya karen
lekin ai jaan-e-karam jab hum chale jaya karen
mera zikr aate hi chup hone ka koi muddaa
kuchh to aaKHir wo mere bare mein farmaya karen
sab hain waise aur koi bhi nahin is shahr mein
ye kahin jaane ki basti hai kahan jaya karen
sab hain waise aur koi bhi nahin is shahr mein
ye kahin jaane ki basti hai kahan jaya karen
tishnagi bhi maslahat hai lekin andaze ke sath
zarf wale ab hamein itna na tarsaya karen
kal se kuchh galiyon mein baaten ho rahi hain aur idhar
hum bhi ab Thahrenge kam wo bhi guzar jaya karen
hum to qisse kahte kahte thak gae chup ho gae
ab hamari dastanen log dohraya karen
mujh ko ghar ki raunaqon ne ye na di hogi dua
tere sar par umr bhar tanhaiyan saya karen
kya tasalli dun ab is arman-e-tiflan par ki aap
koi din to raat se pahle bhi ghar aaya karen
ho shumar apna bhi aasuda-nasibon mein agar
aagahi ke zaKHm bazaron mein bik jaya karen
'mahshar' achchha hai KHayal-e-rasm-o-rah-e-dil magar
baat nazuk hai zaban par soch kar laya karen
(314) Peoples Rate This