Itni Qimat-e-sham-e-safar Dun Ye Nahin Hoga
itni qimat-e-sham-e-safar dun ye nahin hoga
apne charagh ko KHud gul kar dun ye nahin hoga
ab to meri kul tauqir shajar hai aadha
barq ko ye aadha bhi shajar dun ye nahin hoga
hijr ko pas-andaza kiya hai mausam mausam
umr ki mehnat ghaarat kar dun ye nahin hoga
jaun jo us ke dar par daman-e-jaan phailae
wo patthar de aur main sar dun ye nahin hoga
sach ki dhun mein chahe sansen hi ruk jaen
saz ko jhuTe soz se bhar dun ye nahin hoga
kam-zau lafz ko surat bhi dun miTTi bhi dun
KHud-rau lafz ko zer-o-zabar dun ye nahin hoga
mantiq-e-asr saliqa-e-harf-e-haq kya jaane
wahshi ke qabze mein tabar dun ye nahin hoga
meri ek ek shaKH hai fazl-o-adal ki mizan
chhanw udhar dun dhup idhar dun ye nahin hoga
(384) Peoples Rate This