Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai
diyon ko KHud bujha kar rakh diya hai
aur ilzam ab hawa par rakh diya hai
kisi sar par rakha hai hath us ne
kisi gardan pe KHanjar rakh diya hai
ye kya bahar se aai lahr jis ne
bujha kar ghar ka manzar rakh diya hai
ajab hain us gali ke dur-andesh
diya rakhna tha patthar rakh diya hai
baDe mauji nahangan-e-tah-e-ab
samundar ko hila kar rakh diya hai
ye midhat-gar bhi hain kya kar-pardaz
zamin ko aasman par rakh diya hai
rakha bachchon mein jazb-e-razm bhi kuchh
khilaunon ka to lashkar rakh diya hai
hisar-e-gard-baad apna Thikana
aur us ka nam bhi ghar rakh diya hai
likkhe yaron ne kuchh nukte bhi ya phir
faqat lafzon ka daftar rakh diya hai
rakha marham hi ghayal ungliyon par
qalam kab hum ne 'mahshar' rakh diya hai
(413) Peoples Rate This