Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc22e11d92639a04810e283958c0d44f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge - Mahshar Badayuni Poetry In English - Darsaal

Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge

diwanon par hath na Dalo is zid mein pachhtaoge

sare shahr mein kis kis ko tum zanjiren pahnaoge

kya sahra ki tapti miTTi apna sar na uThaegi

tum to ye diwar baDha kar sahra tak le jaoge

hum bhi dua karte hain ki tum muKHtar-e-sarir-e-koh bano

lekin tum se milna kya hai patthar hi barsaoge

bazm-arai achchhi lekin aisi bazm-arai kya

daman daman aag laga di aur charagh jalaoge

phul hain koi KHar nahin hum aao hum mein aa baiTho

KHushbu mein aabaad rahoge KHushbu hi kahlaoge

aankhen nichi kar lo raat ke raste na-hamwar bhi hain

chand ko takte chalne walo dekho Thokar khaoge

harf to kar-e-kilk-o-zuban hai naql-e-harf to aasan hai

zaKHm koi taswir nahin hai jis ke naqsh banaoge

dar ko chhoDa dair ko chhoDa dar mein ab hai dil yaro

kya unwan tarashoge ab kya ilzam lagaoge

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Diwanon Par Hath Na Dalo Is Zid Mein Pachhtaoge in PDF.