Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f12909e0f760181758affa115b49a069, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya - Mahshar Badayuni Poetry In English - Darsaal

Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya

aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya

ek sehn ek dar ek diwar ka nam ghar rakh diya

is hunar par jo tum is qadar nukta-chin ho to main kya kahun

mere malik ne kyun mujh mein sachchaiyon ka hunar rakh diya

main ne shaKHen tarashin bulandi-e-nashw-o-numa ke liye

tum ko tesha mila tum ne to kaT kar hi shajar rakh diya

tez-tar baad-e-KHud-sar chali to yahan kaun si lu ghaTi

main ne aur ek lahu se jala kar diya baam par rakh diya

mera hissa tha kya dukh shanasai ke zaKHm ruswai ke

waqt ke ru-ba-ru main ne sara hisab-e-safar rakh diya

kitne nadar dil tum ne Thukra diye ye na socha kabhi

is mohabbat ne to pa-e-aflas par taj-e-zar rakh diya

main ne to apna KHud hi likha faisla log aise bhi the

munsifi ke liye pa-e-na-munsifi par bhi sar rakh diya

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Aise Ghurbat Mein BaiTha Hun Jaise BaDa Bar-e-sar Rakh Diya in PDF.