Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae
ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae
ashjar ki fariyaad se sailab na aa jae
itna bhi lahu ko na junun-KHez kiya jae
phuTe rag-e-gul se to rag-e-sang mein aa jae
barish hai to aisi ki laraz jae zamin bhi
pani hai ki miTTi ko bhi talwar bana jae
log aise ki sine ki kapaT shishe pe likh den
hum aise ki patthar ko bhi patthar na kaha jae
itna bhi na ho sehn ki dar tak main pahunch kar
dar kholun to darwesh-e-dua-go hi chala jae
apna hi lahu qatil-e-tahzib-o-nasab hai
is shahr mein kis kis se KHabar-dar raha jae
(374) Peoples Rate This