Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh
shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh
naqsh-bar-ab ki manind miTa kya kya kuchh
dard-e-dil kahish-e-jaan soz-e-darun dagh-e-jigar
be-talab teri inayat se mila kya kya kuchh
uff ye begangi-o-tark-e-talluq ka azab
pa gae hum bhi wafaon ka sila kya kya kuchh
kaisa insaf hai ye kaisi adalat hai teri
di hai na-karda KHataon ki saza kya kya kuchh
kab KHabar hoti hamein kaun kahan se aaya
kah gaya chupke se naqsh-e-kaf-e-pa kya kya kuchh
rahat-e-wasl mohabbat ka nasha dard-e-firaq
teri chahat ne meri jaan diya kya kya kuchh
lab tere kis liye iqrar-e-mohabbat karte
aankh hi kah gai ai jaan-e-wafa kya kya kuchh
(376) Peoples Rate This