Rang-e-gul Aur Laga Mauj-e-saba Aur Lagi
rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi
kis ke aane se gulistan ki faza aur lagi
aaj mail hai wo ikram-o-inayat pe kya
kyun hamein kucha-e-jaanan ki hawa aur lagi
laDkhaDane pe kise raqs ka hota hai guman
fasl-e-gul aai to phir laghzish-e-pa aur lagi
dil dhaDakne ke hain aadab magar tere huzur
jaane kyun sine mein dhaDkan ki ada aur lagi
kis tarah kahta koi tujh ko sitamgar ai dost
sach to ye hai ki hamein teri jafa aur lagi
(384) Peoples Rate This