Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah
ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah
ab koi aankh nahin chashm-e-ghazalan ki tarah
ab kahin bhi nazar aate nahin aariz ke gulab
ab koi zulf kahan sumbul-o-raihan ki tarah
is bhare shahr mein ab koi zuleKHa hi nahin
ek chehra bhi nahin surat-e-jaanan ki tarah
kijiye bhi to kahan us ruKH-e-zeba ki talash
koi kucha hi nahin ku-e-nigaran ki tarah
zindagi ban gai ek soz-e-darun tere baghair
kaTe kaTti hi nahin hai shab-e-hijran ki tarah
le ke aai teri yaadon ke mahakte hue phul
koi mausam hi nahin fasl-e-bahaaran ki tarah
jaan-e-jaan meri wafaon ka sila do ki na do
kaun chahega tumhein is dil-e-nadan ki tarah
(362) Peoples Rate This