Kis Ko Hoga Tere Aane Ka Pata Mere Baad
kis ko hoga tere aane ka pata mere baad
kaun sun paega lamhon ki sada mere baad
jis se yaadon ke shabistan mahak uThte the
isi KHushbu ko tarasti hai saba mere baad
main to ek raqs tha kuchh rang-bhare zarron ka
raaz ye ahl-e-zamana pe khula mere baad
baam-o-dar chiKHte hain rengti tanhai mein
shahr mein KHak uDati hai hawa mere baad
haal-e-dil kis se kahe kis se lipaT kar roe
shahr-dar-shahr bhaTakti hai ghaTa mere baad
koi sunta nahin viran paDe hain kamre
sar paTaKHti hai kiwaDon se hawa mere baad
'sham' ke sang se hi chandni shab phuTegi
dar-ba-dar phailti jaegi ziya mere baad
(2232) Peoples Rate This